k taim tera jikar karun main,ye bat samajh nahi aawe s,
Aaj Bharosa sar jhukawe, Kis tai Pyar banaun main,
Banjh k Darshan Nyaa batawe Betya pai ye itrawe,
Bir Mard Sukh Dukh k Sathi,Aaulad in nai Thukrawe,
Bhale Gharan ki Beti Aajya, Ujde Ghar bhi Bas Jyawe,
Aaj bhi Sapne Ho s Pure, Bhale Manas jai Mil Jyawe…….. !
Julm Isa howe Dharti pai, Nari nai Nari Jalwawe,
Beti nai Shyani Samjhe s, Jo Kunba ghani Karwawe,
Sari Ek si Hoti Koni, Par sabke Gar Lagawe s,
Fashion ki is hod main ye, Aabru Aapni Lutwawe…… …….!
Gair Mard ke Chakkar me aake, Khud Dhani Nai Mare s,
Doodh pite Balkan nai Chhod ke, Rangrali ye Manawe s,
Isne Shan Batawe Jindagi me Kati nahi Sharmave s,
Beer bar main Piven Daru, cigarette ka Dhumma Thave s……….. …!
Baap bete ka Rista Dekho, Jo Dhad te sar nai katwawe,
Maa ka Pyar Saacha ho s par, uska bhi Doodh Lajaawe s,
Kah ” mathur” Bat Julm ki, Gaat Uchati Lawe s,
Aaj Bharosa Sar jhukave, Kis pai Pyar Jataun main……….. ..
Haryanvi Shayari
May 16th, 2012 by User | No Comments | Filed in Shayariतुलसी की जगह Money plant, चाचीजी की जगह Aunt ने ले ली!
February 22nd, 2012 by User | No Comments | Filed in Entertainment, Jokes, Poems, Shayariतुलसी की जगह Money plant
चाचीजी की जगह Aunt ने ले ली!
पिताजी जीते जी डैड हो गये
आगे और भी है आप तो अभी से Glad हो गये!
भाई Bro हो गये बहिन अब Sis हो गयी,
दादा दादी की तो हालत टाँय टाँय Fiss हो गयी!
बड़ी बुरी दशा परिचारिका के Mister की हो गयी,
बेचारे की तो बीवी भी Sister हो गयी!
जीती जागती माँ बच्चोँ के लिये Mummy हो गयी,
घर की रोटी अब अच्छी कैसे लगे 5 रुपये की Maggi जो इतनीYummy हो गयी!
दिन भर बेटा CHATTING ही नहीँ करता,
रात मे Mobileपर SETTING भी करता है!
लैला और मजनूँ के भूत भी पछताते हैँ,
क्योँकि उनके नाम अब सड़क किनारे नुक्कड़ पे पुकारे जाते हैँ…………..!
Top pakau Shayaris
January 1st, 2012 by User | No Comments | Filed in ShayariToday’s Top Pakau Shayaries-
1.Teri adao pe main jaun waari waari…
Dial 197 for enquiry…..
2.Na jine ki arzu na marne ka khauf…..
The numberu are trying is currently switched off.
3.Apne gamo ko bas dil me daba lo….
Naya godrej powder hair dye, Bas kaato gholo aur
laga lo…………..
Bye Bye to 2011
January 1st, 2012 by User | No Comments | Filed in ShayariAb yaad dilaen kiya tumhen?
Yeh saal bhee aakhir beet gaya,
Aur apna bhee koi dosh nahin,
Yeh baazi bhee jug jeet gaya,
Wo Sard hawaen ab bhee hain,
Rangeen fizaen ab bhee hain,
Wo bheege bheege paani ki,
Pur shor Sadayen ab bhee hain,
Main ab bhee udhar ko jata hun,
Aur dil apna sulgata hun,
Ab tum nahin hote saath mere,
Hote hain khaali haath mere,
Wo sard hawaen poochti hain
Pur shor sadayen poochti hain,
Wo kahan gaya saathi tera,
Kiya phir yeh Zamana jeet gaya?????
aa bhii jaao kii zindagii kam hai
October 19th, 2011 by User | No Comments | Filed in Shayariaa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai
vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai
jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai
aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai
tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere ye zindagi kyun kam hai
Hum kya banane aye the or kya bana baithe
August 5th, 2011 by User | 1 Comment | Filed in Shayari
Hum kya banane aye the or kya bana baithe..
Kahi MANDIR bana baithe to kahi MASJID bana baithe..
Hum se achi to in PARINDO ki ZINDGI hai..
Kabhi mandir pe ja baithe to kabi masjid pe ja baithe…mehmi
Waqt nhi Rukta kisi ke Liye-Hindi Shayari
March 12th, 2011 by User | 11 Comments | Filed in Entertainment, ShayariTags: hindi shayari
Wo Mera Khyaal rakhti thi
December 30th, 2010 by User | No Comments | Filed in Entertainment, ShayariMain aaina tha woh mera khayal rakhti thi,
Main toot’ta tha to chun kar sambhal rakhti thi,
Har ek masle ka hal wo nikal rakhti thi,
Zaheen thi, mujhe hairat mein daal rakhti thi,
Main jab bhi tark-e-talluq ki baat karta tha,
Wo mujhe rokti thi kal pe taal rakhti thi,
Bas ek wo thi jise ghao mein dekhta tha,
Bas ek wo thi keh jo andmaal rakhti thi,
Woh mere dard ko chunti thi apne poron se,
Woh mere waaste khud ko nadhal rakhti thi,
Woh doobne nahi deti thi dukh ke dariya mein,
Mere wajood ki nao uchhal rakhti thi,
Duaen uski balaon ko rok leti thi,
Wo char sau hathon ka dhal rakhti thi,
Ek aisi dhun kahi nahi fir maine suni,
Wo munfared si hansi mein kamal rakhti thi,
Use nadamaten meri kahan gawara thi,
Wo mere waste asaan sawal rakhti thi,
Bichad ke usse main dunia ke thokron mein hoon,
Wo paas thi to mujhe lazawaal rakhti thi,
Sahar tha naam, Ujale gulam the uske,
Wo zindgi ke andhere ujaal rakhti thi,
Wo muntazir meri rehti thi dhoop mein shayad,
Main lautta tha chhaon nikal rakhti thi!!!
She is Gem,She is My God—-She Helps Me even in My Dreams
Tags: hindi shayari, urdu shayari
Kuch logon ne loota,kuch Sapne toote-Hindi Shayari
December 30th, 2010 by User | No Comments | Filed in Entertainment, ShayariKuch khud bhi the afsurda se
kuch tum bhi hum se rooth gaye
kuch khud hi zakham k aadi the
kuch sheeshe haath se chhoot gaye
kuch khud bhi the hassas boht
kuch apne muqadar rooth gaye
kuch tumko sach se nafrat thee
kuch hum se na bolay jhoot gaye
kuch khud itne mohtaat na the
kuch log bhi hum ko loot gaye
kuch talaq haqaiq the itne
k khawab hi saaray toot gaye.
————————-Crawlindia.Com————————-
Bas ek pal hi laga unko rooth jane mein,
Hamari umar kati hai unhen manane mein,
Meri zameen mujhe bhi kahin samo lena,
Hain dafan kitne qazeene tere qazane mein,
Tumhen to jashn-e-charagan ka shaunk rehta hai,
Lagado aag hamare bhi aashiyane mein,
Gareeb dil pe jo gujri kisi ko kya maloom,
Maza to aapko aata raha satane mein……
Crawlindia.Com Continues the Saga of Hindi and urdu shayari, We are the partners of Just4lovers International for the Shayari.
Tags: hindi shayari, Sad hindi Shayari, sms shayari, urdu shayari
Ek IShaara Karke
December 30th, 2010 by User | No Comments | Filed in Entertainment, ShayariBaton baton mein bichhadne ke ishara karke,
Khud bhi roya wo bahut humse kinara karke,
Sochta rehta hoon tanhai mein Anjam-e-Khuloos,
Fir usi Zurm-e-Mohabbat ko dobara karke,
Jagmaga di hai tere shehar ki galian maine,
Apne har ashq ko palkon pe sitara karke,
Dekh lete hain chalo hausla apne dil ka,
Aur kuch roz uske sath guzara karke,
Ik hi shehar mein rehna magar milna nahi,
Dekhte hain ye aziyat bhi gawara karke…!!
Tags: hindi shayari, urdu shayari





